Saturday 13 April 2013

Urdu ghazals

Naam le le kar naa mera shehar ki nazroon main aa
Mujh se milna hai to mere dil ke sehraao main aa

Iss safar main daikh ghull jata hai miti ka badan
Mujh se milne ki naa khuwahish kar naa barsaatoon main aa

Loog tujh ko gungunaain meri khuwahish ki tarha
Aik achoote shair ki surat meri ghazloon main aa

Be hunar logoon ne phir maanga mere fun ka saboot
Aa meri sachaai ki khushboo meri lafzoon main aa

Ghar ke darwaze pe aakar kyun qadam rukne lage
Aa meri tanhaai, meri muntazir bahoon main aa

No comments:

Post a Comment