Saturday, 13 April 2013

Urdu ghazals

Ye saal mahinay din shumaar na karna
Bai ja dil-e-muztarib pay waar na karna

Wo keh gaya thha waqt-e-rukhsat ye bhe
Kisi musaafir ka aitebaar na karna

Na mujhay yaad dilana na mujhay yaad aana
Apni berbaad haseraton ka izhaar na karna

Sufer-e-hayaat main apnay leye tum chun laina
Koe bhe gosha-e-makan per intezaar na karna

Dawa-e-dil k leye kaafi thha os ka ye kehna
Apni hasti kee hudon ko paar na karna

Saza k taur pay kaatna ye zindagi apni
Wafa bai mole bhe milay tau payar na karna

Zakhmon ko apnay see laina tanhaiye main baith kar shaukat
Ore iss saee main saal mahinay din shumaar na karna

(Shumaar:Count)(Haseraton:Wishes)(Sufer-e-hayaat:Journey of life)(Dawa:Claim)(Mole:Worth)

by Shaukat Ali Khan

No comments:

Post a Comment