Friday, 12 April 2013

Urdu ghazals

Bhanwar main her ghari rehna mohobat rog hay dil ka
Tumhain thha bas yehi kehna mohobat rog hay dil ka

Zamanay bhar main bikhray hain mazar-e-ishq k manzar
Unhi kutbon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka

Tumhara saath chaha tau milay aanso umer bhar k
Yunhe aankhon ka num rehna mohobat rog hay dil ka

Sobha ke arzoo karna bina sooruj ke kirnon k
Phir soochon main gumm rehna mohobat rog hay dil ka

Kabhi tootain tumhari aas-o-umeedon k bandhan jab
Mujhay tum khud he likh daina mohobat rog hay dil ka

Nehi rakhna qadam apna kabhi hasar-e-ulfut main
Meray lafzon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka

Tumhari jaan ka sadqa lahoo say main chukaaon tau
Subhe say tum yehi kehna mohobat rog hay dil ka

Shaukat rukk nehi sakta bahaao chaltay pani ka
Hazaron ghum parain sehna mohobat rog hay dil ka

by Shaukat Ali Khan

No comments:

Post a Comment