Monday, 1 April 2013

Wo Haal Hi Nahi’n Raha. . !

Wo pehli jaisi wehshatain, wo haal hi nahi raha. .
K ab tou shoq-e-rahat-e-wisaal hi nahi raha. .
Tamam hasrat’ain, har ik sawaal dafan kar chukay. .
Hamary paas ab koi sawaal hi nahi raha. .
Talash-e-rizq mein ye sham iss tarha guzar gaee. .
Koi hai apna muntazir, Khayaal hi nahi raha. .
In aatay jaatay roz-o-shab ki gardisho’n ko dekh kar. .
Kisi kay hijr ka koi malaal hi nahi raha. .
Hamara kia banay ga kuch na kuch tou iss pe sochtay. .
Magar kabhi humain ghum-e-maal hi nahi raha. .
Tumharay khaal-o-khad pe ik kitaab likh rahy thy hum. .
Magar tumhara husn be-misaal hi nahi raha. .
Sanwaarta, Nikhaarta mein kaisay apny aap ko. .
Tumharay baad apna kuch khayaal hi nahi raha. .
Zara si baat se dilo’n mein itna farq aa gaya. .
Ta’alluqaat ka tou phir sawaal hi nahi raha. .!

No comments:

Post a Comment