Friday, 12 April 2013

Urdu ghazals

Khusbo ko titliyon ke paro-n may chupaon ga

phir nely nely badlon may loot jaon ga



Dewana war muje sy lipat jay gi hawa

may surakh surakh pholo-n may jab muskuraon ga



Sony ke phol patty giray gy zameen par

may zard zard shakho par jab gungunao ga



Ye lakrdiyan jo kushk hy bey barg-o-bar hy

en ko may apni aag may jalna sikhao ga



Denaar khob barsy gi angan may sari raat

may khawab ke shajar ki wo shakh hilaon ga



Dhul jay gi badan pay jami dhoop ki teh

apny laho may aj may esa nahao ga



ek pal ki zindagi behad muje aziz hy

palkon pay jhilmilaon ga or phr toot jaon ga



Ye raat phir na aye gi badal barsny dy

may janta ho subh0 tuje bhol jao ga



Es din bajay os ke tapkay ga surakh khon

talwar ly kar jab may khalaon may jaon ga



Jab raat ke sappurd muje karna aon gy

romal raoshni ka hawa may urdaon ga



angan may nany nany farishty lardy gy jab

bhroii shafeeq akknho may,may muskoraon ga

No comments:

Post a Comment