Ye chandi bhi jin ko choty howay guzarti hy
dunya enhi pholo-n ko peron sy maslti hy
Shohrat ki bolandi bhi pal bhar ka tamasha hy
jis dal pay bethy ho wo toot bhi sakti hy
Loban may chingari jesy koi rakh jay
yon yad teri shab bhar seny may sulagti hy
A jata hy khud khench kar dil seny ki patri par
jab raat ki sarhad sy ek rail guzarti hy
Anso kabhi palkon par tadair ny rukty
urd jaty hy ye panchi jab shakh lachakti hy
khosh rang parindo ke loot any ke din ay
bichrdy howay milty hy jab barf pighalti hy
…
No comments:
Post a Comment