Monday, 21 January 2013

Poem Sms

Han Mujhe Bhi Tumse Pyar Hai

Ek Din Usney Mujsey Kaha
Kia
Tumhey Bhi Mujsey Piyar Hey?
Mey To Ajnabi Sa Ban Gaya
Phir…
DiL Ney Holey Sey Kaha…
Ek Aks Naksh Hey Merey Hawas Pey
Ye Sans Chal Rahi Hey Usi Ki Yaad Sey
Usey Daikh Loon
To
Jee Utthon
Bina Uskey Zindagi Ek Khuaab Hey
Wo Shakhs Kia Hey Nahi Khaber
Haan Wo DiL-e-Qarar Hey
Meri Zindagi Merey Ashnaa
Ager Ye Hee Piyaar Hey
To
Sunlo Aj
Haan Mujey Bhi Tumsey PIYAAR Hey

Yeh Zahmat Kon Karta HAi

Haqiqat Jan Kar Aise Hamaqat Kon Karta Hy,
Bhala Be Faiz Logon Se Mohabat Kon Karta Hy,
Batao Jis Tijarat Men Khasara He Khasara Ho
Bina Sochey Khasarey Ki Tijarat Kon Karta Hy,
Hamen He Ghalt Fehmi Thi Kisi K Wastey Warna,
Zamaney K Rewajon Se Baghawat Kon Karta Hy,
Khuda Ne Sabr Karne Ki Mujhey Taufeeq Bakhshi Hy,
Array G Bhar K Tarpao Shikayt Kon Karta Hy,
Kisi K Dil K Zakhmon Par Marhm Rakhna Zaruri Hy,
Magr Is Dor Me MOHSIN Ye Zehmat Kon Krta Hy?

Yah Kaisi Chahat Hai?

“”"Ae waqt zara to tham ja, Mujhe yaad “KISI” ko kerne dy,
Mujhe “peyar” hai ik “SUNG DIL” say, Jo koi “BAAT” mujhay na karne dy,
Na apny “PAS” wo aany dy, Na khud se “DOOR” wo jany dy,
Na “DIL” ko apny pas rakhy, Na aur kisi ka “HONY” dy,
Her waqt mujhe “WO” yaad aay, Phir “DIL” se ik aawaz aay,
Ye kaisi “CHAHAT” hai us ki, Jo “JEENY” de na “MARNY” day.”"”

I Have Learned

I’ve learnd
I came alone and i’ve to go alone
I’ve learnd
People r with u only when they need u, not otherwise
I’ve learnd
Extra care of anyone by you will ultimately bring a blame for you, not appreciation
I’ve learnd
A simple LIE of ur close one can break you more than anything
I’ve learnd
Its very hard to weep alone when there is no shoulder to support U
ULTIMATELY,,,
I’ve learnd
Help people but not upto the point beyond ur dignity
I’ve learnd
Luv urself and love people but only if u can do it without expecting anything from them…
& I think I’ ve learnd a bit about life…

Humnasheen

Raat Ka Galiban ,Aakhiri Pehar Tha …
Mujh Say Tanha Sitara Yoon Gooya Hoa
Hamnasheen …
Alwida !!
Aey Meray Hamnasheen . .Mujh Ko Nend Aa Gai
Tum Bhi So Jaao Ja Ker Kahen
Kal Milen Gay Yaheen..!!
Ye Sun Kar Main Halka Sa Muska Dia
Us Ko Batla Dia
Janay Walay Yahan Lout‘tay He Nahi
Tum Na Ao Gay Kal
Mujh Ko Hay Ye Yaqeen
Baat Sun Kar Meri
Wo Ruk Sa Gia …
Or Kehnay Laga ..
*Tum Say Wadah Karon
Phir Na Pora Karon ?
Aisa Mumkin Nahi …
Sun Meray Hamnashen …Main To Insaa‘n Nahi

Tum Laut Ana

Udas shamon ki siskiyon me,
Kbhi jo meri aawaz sun’na,
To beete lamhon ko yad kar k,
Inhi fizaon me lout aana,
Tm aaya krte they khwab ban kar,
Kbhi mehkta gulab ban kar,
Main khushk honto se jab pukaron,
Inhi adaon me lout aana,
Meri wafaon ka pas rkhna,
Meri duaon ka pas rkhna,
Me khali hathon ko jb uthaon,
Meri duaon me lout aana,
Meri duaoon me lout aana..!

Tanha Tanha

“TANHA TANHA” c raat,
Or
“TANHA TANHA” se HUM!
Afsurda afsurda YADEN,
Bheega bheega MOSAM,
Sookhey patton ka SHOR,
Andhery ki SARGOSHI,
Dharkan ki AAHAT,
Qismat se apne SHIKWAY,
tere ehsas ka toota BANDHAN,
Tere sath guzray PAL,
Tere loat Aanay ke UMIDEN,
Tere rastay pe NAZAR,
Lamha lamha rat ka DHALNA,
pal pal apne aas ka TOOTNA,
Dil k zakhmon ka gehra hona,
Phir
“TANHA TANHA” c rat, Aur
“TANHA TANHA” se “HUM”






No comments:

Post a Comment