Sunday, 31 March 2013
Main Rahguzar main khari hui hun
Main Rahguzar main khari hui hun,
Tumhari khater aari hui hun..
Dukhon se daman waseh hai mera,
Inhi main pal k bari hui hun..
Kesi ki mujh ko nahi hai parwa
Main terey dil main jori hui hun..
Jo mananay k fan se waqif hun
Jo mananay k fan se waqif hun,
Wohi akser khafa hote hain..
Jo Baray ba-wafa se dikhte hain,
Wo baray bewafa bhi hote hain..
Jo thehray hain zest ka hasil,
Wohi lamhay saza bhi hote hain..
Hum ko itni khabar nahi hoti,
Hum kesi ki dua bhi hote hain..
Jo bicharne ka weham rakhte hain,
Wohi akser judaa bhi hote hain..
…
Jo mananay k fun se waqif hun
Jo mananay k fun se waqif hun,
Wohi aksar khafa hotey hain..
Jo Baray ba-wafa se dikhte hain,
Wo baray bewafa bhi hotey hain..
Jo thehray hain zest ka hasil,
Wohi lamhay saza bhi hotey hain..
Hum ko itni khabar nahi hoti,
Hum kesi ki dua bhi hotey hain..
Jo bicharney ka weham rakhte hain,
Wohi aksar judaa bhi hotey hain..
Qalam phir se uthaa kar rakh diya hai
Qalam phir se uthaa kar rakh diya hai,
Kesi gham ne rula kar rakh diya hai,
Yeh meri zeest main kya morr aya hai,
Ke andar tak hilaa kar rakh diya hai,
Koi hakaa teri tasweer jaisa,
Banana tha bana kar rakh diya hai,
Has-o-hashak ka ik ghar tha apna,
Hawaoun ne mitta kar rakh diya hai,
Raha bus yaad ik lamhaa ke jis ne,
Sehar sab kuch bhola kar rakh diya hai..
…
Tere chahat ka sila yaad nahi
Tere chahat ka sila yaad nahi,
Yaad hai jurm saza yaad nahi,
Torr kar humsafri ka rishta
Wo kaha chhor gaya yaad nahi,
Apne girnay ka sabab yaad hai,
Lakin… kis bulandi se gira yaad nahi,
Yaad hai uska bicharna hum ko,
Phir humain jo b mila yaad nahi..
Mujhse howe kitne door tum
Mujhse howe kitne door tum,
Ho jain kareeb Gar majbor tum..
Sansoon se lipatnna seekh jaoo tum,
Khyall-e-yaad meri terhan Keh bas tum..
Baat eik Khamoshi main justaju Ki Keh tum,
Koi lazt-e-wasal qalb-o-jigar rakho hazoor tum..
Chaand badal main chhup na jaye keh tum,
Be-nakaab aoo ilzaam ban aye keh hum tum..
Humain azmane Ki Khawaaish-o-khalish hi tum,
Be-Karaar-e-Ishq bhi, gunah-e-azeem bhi Tum..
Talab asi na koi cheez zaroorat jaisi
Talab asi na koi cheez zaroorat jaisi,
Koi tu baat thi hum tum main mohabbat jaisi..
Gar khuda mera meray dil ki dua sunn leta,
Surtain sari banata teri surat jaisi..
Dekhna usi ko faqat toot ke dekha karna,
Meri haalat bhi thi deewano jaisi..
Ankh main utray koi chehra tere chehray saa,
Koi tasweer tu ho teri shabahat jaisi..
Teray hum’rah tera sayaa bhi kab dekh sakoon,
Dil jalati hai koi baat raqabat jaisi..
Un dino waqt bhi thehra howa sa lagta tha,
Aur fursat bhi thi hum ko koi fursat jaisi..

Ye dard bhi hum ko payara hai
Ye dard bhi hum ko payara hai
Ye dard jo us na daan kia
Ye zakhm bhi bharnay walay thay
Par us na bara ahsaan kia
Phir dard judaai day dala
Nasoor ka ye samaan kia
Phir cheenay meray khuwaab sabhi
Or tukray mera maan kia
Phir soda khuwab gharondon ka
Or us main bara nuksaan kia
Umroon ka bandhan baandh lia
Or lamhoon main anjaan kia
Phir mujh ko hataya aik taraf
Or Rasta youn asaan kia
Ye dard jo us na daan kia
Ye zakhm bhi bharnay walay thay
Par us na bara ahsaan kia
Phir dard judaai day dala
Nasoor ka ye samaan kia
Phir cheenay meray khuwaab sabhi
Or tukray mera maan kia
Phir soda khuwab gharondon ka
Or us main bara nuksaan kia
Umroon ka bandhan baandh lia
Or lamhoon main anjaan kia
Phir mujh ko hataya aik taraf
Or Rasta youn asaan kia
Kyun ho itnay hafa hafa se
Kyun ho itnay hafa hafa se,
Kyun ho itnay juda juda se..
Tujhe bhula dain tu kaisay,
Kyun ho itnay dua dua se..
Yeh tanhai dasti hai mujhe,
Kyun ho itnay saza saza se..
Tera hi zikar kiya mein ne har gari,
Kyun ho phir itnay bewafa bewafa se..
Tera hi naqsh namayaan hai janaan,
Aashar ki har ada ada se..
Kyun ho itnay juda juda se..
Tujhe bhula dain tu kaisay,
Kyun ho itnay dua dua se..
Yeh tanhai dasti hai mujhe,
Kyun ho itnay saza saza se..
Tera hi zikar kiya mein ne har gari,
Kyun ho phir itnay bewafa bewafa se..
Tera hi naqsh namayaan hai janaan,
Aashar ki har ada ada se..
Teray naam ke kitnay hi parinday
Teray naam ke kitnay hi parinday,
Hawa main uraye hum ne,
Har pal tu khush rahay janaan,
Kitnay hi mizarun pe diye jalaye hum ne..
Hawa main uraye hum ne,
Har pal tu khush rahay janaan,
Kitnay hi mizarun pe diye jalaye hum ne..
Kis baat ki saza detay ho
Kis baat ki saza detay ho,
Hanstay howe tum rula detay ho..
Dam niklay mera teray pehlo main,
Kitni Khobsorat dua detay ho..
Manaa ke mohabbat main sab jaiz hai lekin,
Dil ke zakhmoon ko kyun howa detay ho..
Tera chup rehna gawara hai janaan,
Har baat jo tum ankhoon se bataa detay ho..
Kar ke tum tufaan ke hawalay aashar ko,
Phir bhi jenay ki dua detay ho..

Yaadon ko meray dil sa utarnay bhi nahi deta
Yaadon ko meray dil sa utarnay bhi nahi deta,
Jeenay bhi nahi deta wo marnay bhi nahi deta
Zulfain hain pareshaan aankhoon main kaeen dard
Farqat ka ye sadma Sanwarnay bhi nahi deta
Aankhon main utar jatay hain an dekhay jazeeray
Mujh main mera khuwaab wo marnay nahi deta
Ho jaen to begaanay us ki tarah hum bhi
Pindaar mera mujh ko bhi mukarnay nahi deta
Aankhoon sa bhalay door hui soorat teri
Ya dil hai k tera aks badalnay bhi nahi deta
Is darja sataya hai andheray nay mujhe ab tou
Sooraj meri duniya main Ubharnay bhi nahi deta

Naa koi rabt hai baaqi na koi raabta rakha
Naa koi rabt hai baaqi na koi raabta rakha
Bicharnay walay sa hum na na koi waasta rakha !
Mufqil kar diye us na sab dareechay Muhabat kay
Main jis par chal kay aajaon na koi raasta rakha
Sabhi rishtay Bhula bethay magar na koi hosla toota
Huda kay baad to bas tha kay tumhara aasra rakha
Kabhi madham nahi hotay tumhaari yaad kay jugnoo
Hujoom e Gham main bhi rowaan hum na ye kaafla rakha
Kinaaray lag gaya wo to muahabat bhool betha hai
Mujhe ronda usi na hai kay jis nay Na khudaar rakah
Kay jaisay saans chalti hai jaisa dil darhatka hai
Tumhaari yaad sa hum na kuch aisa silsila rakha hai !

Paikar tha wafa ka Muhabat ka Khuda ka !
Paikar tha wafa ka Muhabat ka Khuda ka !
Wo shahks zamany sa sab sa hi juda tha
Chaahat kay hazanay thay har lafz main us kay
Daaman mera us na duaoon sa bhara tha
Mujh ko naheen dekha us na karhee dhoop sa choo kar
Baba mera duniya main mujhe aisa jo mila tha
Fikrain na zamanay ki kabhi pass bhi aeen !
har dard meri hasti sa darta hi raha tha
Jab tak saansoon ka basaira mera baba
Tab tak main ghamoon sa bachta hi raha
Us shaam ki hudat meray dil sa naheen jaati
Jis shaam tera saya meray saye sa utha tha

Udaas raatain naraz pal hain
Udaas raatain naraz pal hain
Jo aaj thay huay wo kal hain
Qata-o-Taluq o sard-e-mahrii
Mas’loun kay uskay ya hal hain
Samaye thay jo ragoon main meri
Nazar say meri wo aaj ojhal hain
Musafatoon na thaka dia hai
Nazar hai dhundhli pao’n shal hain
Wo asal wo saraab sa tha
Jo firqatain hain wohi asal hain
Mera ta’aaruf hain qaiso majnoon
Hum aashiqoon ki koi nasal hain
Nuwazishain thi inayatain thi
Par aaj kia hai ya kia badal hain
Bahar ab kay kah hai layee
Kay zard saaray huay nahal hain
Yahee raha bas faraib hum ko
Humi abd hain hami azal hain
Jo aaj thay huay wo kal hain
Qata-o-Taluq o sard-e-mahrii
Mas’loun kay uskay ya hal hain
Samaye thay jo ragoon main meri
Nazar say meri wo aaj ojhal hain
Musafatoon na thaka dia hai
Nazar hai dhundhli pao’n shal hain
Wo asal wo saraab sa tha
Jo firqatain hain wohi asal hain
Mera ta’aaruf hain qaiso majnoon
Hum aashiqoon ki koi nasal hain
Nuwazishain thi inayatain thi
Par aaj kia hai ya kia badal hain
Bahar ab kay kah hai layee
Kay zard saaray huay nahal hain
Yahee raha bas faraib hum ko
Humi abd hain hami azal hain
Huahishoon ka lasha hai
Huahishoon ka lasha hai
Zindagi tamasha hai
Toot jata hai sada
Jo bhi but tarasha hai
Dil na jaanay anbasaat
Dard hi shanasa hai
Mil kay bhi milta nahi
Bohat usay talasha hai
Na zindagi sa hai gila
Na tum sa koi aasha hai
Pyar waday or wafa
Sara kuch tamasha hai
Zindagi tamasha hai
Toot jata hai sada
Jo bhi but tarasha hai
Dil na jaanay anbasaat
Dard hi shanasa hai
Mil kay bhi milta nahi
Bohat usay talasha hai
Na zindagi sa hai gila
Na tum sa koi aasha hai
Pyar waday or wafa
Sara kuch tamasha hai
Yaad ko pighalnay main dair kitni lagti hai
Yaad ko pighalnay main dair kitni lagti hai
Khahishoon ko jalnay main dair kitni lagti hai
Aaj us na kah dia door janay sa qabal
Rasta badalnay main dair kitni lagti hai
Zindagi bana lia usko apni rooh ki
Zindagi badalnay main dair kitni lagti hai
Us kay janay sa mujhe agahe hui hai yah
Bastiaan ujarnay main dair kitni lagti hai
Hadsoon na torra hai dostoon na jora hai
Aadmi ko marnay main dair kitni lagti hai
Tum bachana pyar kay is diye ki aanch ko
Aandhion ko chalnay main dair kitni lagti hai
Us kay waday par rahay kuch khabar bhi na rahi
Pyar sa mukarnay main dair kitni lagti hai
Phool kay nikalnay tak rha mera uska saath bas
Phool ko bhikharnay main dair kitni lagti hai
Tairgi muqadar ki jaan hai meri ye warna
Raat ko guzarnay main dair kitni lagti hai

Aaj ki raat niklo na taro zara
Aaj ki raat niklo na taro zara
Aaj ki raat tanha guzaaro zara
Jaan balb hon abhi saans nikli naheen
Rah gaya jo ek teer maroon zara
Meri Kismat ko tareek tar chor do
Apni aankhoon ka kajal sanwaro zara
Sakht mushkil main hoon or bay haal hoon
Apnay dukh ko zahan sa utaaro zara
Main na khoya hai khud ko isi dhool main
Tum batana usay rahguzaaro zara
Tanz-e-ilzaam baatain bhari zahar say
Saaray hanjar badan main utaaro zara
Phir sa barh jayain gay pyaar kay raabtay
Is anaa ki larae main haaro zara

Maa’n! Kahan Ho Tum?
Mery chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum?
Mery maathay pe bosa deni wali maa’n! kahan ho tum?
Mujhy jhalsa rahi hai zindagi ki dhoop barso’n se
Meri umeed, meri zeest ka saaman kahan ho tum?
Kharaash’ain daal di hain dil k aainey pe duniya ne
Mery har dukh, mery har dard ka dar-maa’n kahan ho tum?
Mein thak k girney wala hun, mujhy aaghosh mein lay lo!
Ta’aqub mein hai mery gardish-e-dauraa’n, kahan ho tum?
Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maee’n zinda hain
Meri nazro’n mein saara sheher hai weeran kahan ho tum
Kahan ho tum? ye dekho mera seena kitna ghayal hai!
Mery zakhm’on ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum?

Paraaye Ghar Ki Beti Jal Rahi Hai!
Paraaye ghar ki beti jal rahi hai, Acha moqa hai!
Bujha do piyas sholo’n ki, Kanaster daal do us per
Sulagtey bainn sun kar ab nahi’n bedaar ho gi woh
Kahani so gai, Phoolo’n ki chaadar daal do us per
Ek strature k pahiye ghoomtey hain burn unit mein
Ye manzer dhaanp do, Acha sa manzer daal do us per. . !

Bujh Jaingi Roshan Aankhain. . !
Ye roshan aur piyari aankhain
Zalim khaak mein rul jaingi
God mein lainy wali baanh’ain
Beher-e-fana mein ghul jaingi
Maa’n tum tanha chorr k hum ko
Sheher-e-ajal mein kho jaogi
Bujh jaingi roshan aankhain
Maa’n tum chain se so jaogi
Sheher-e-abad ki ho jaogi
Charagar’on k qaatil jumley
Sunta hun to dukh hota hai
Zabt karo’n to dum ghut’ta hai
Ashk piyu’n tou dil rota hai
Taaq umer se dheeray dheeray
Kitni sham’ain bicharr chuki hain
Tum se pehly taiz hawa se
Kitni aankhain ujarr chuki hain
Lekin ye ghum kaisa ghum hai?
Jis k sog mein chashm-e-falak bhi
Janay kitney roz se num hai
Janey kab tk ro’aingi aankhain
janay kab tk lamhay gin gin
Guzraingy sooli per ye din
Aur phir ik din . . .
Sochta hun to kaanp uthta hun. . .!
Zalim khaak mein rul jaingi
God mein lainy wali baanh’ain
Beher-e-fana mein ghul jaingi
Maa’n tum tanha chorr k hum ko
Sheher-e-ajal mein kho jaogi
Bujh jaingi roshan aankhain
Maa’n tum chain se so jaogi
Sheher-e-abad ki ho jaogi
Charagar’on k qaatil jumley
Sunta hun to dukh hota hai
Zabt karo’n to dum ghut’ta hai
Ashk piyu’n tou dil rota hai
Taaq umer se dheeray dheeray
Tum se pehly taiz hawa se
Kitni aankhain ujarr chuki hain
Lekin ye ghum kaisa ghum hai?
Jis k sog mein chashm-e-falak bhi
Janay kitney roz se num hai
Janey kab tk ro’aingi aankhain
janay kab tk lamhay gin gin
Guzraingy sooli per ye din
Aur phir ik din . . .
Sochta hun to kaanp uthta hun. . .!
Ghar Kis K Liye Veeran Rehta Hai?
Kaha : Din ko bhi ye ghar kis k liye veeran rehta hai? Yahan kia hum sa koi be-sar-o-saamaan rehta hai? Dar-o-deewar sannaattay ki chaadar mein hain khuwab’eeda Bhala aisi jaga zinda koi insan rehta hai?
Musalsal poochnay per aik chilman se jawab aya: Yahan ik dil shikasta sahib-e-deewan rehta hai Kaha: Kia is k risht-e-daar bhi nahi milny aaty? Jawaab aya : Ye sehra raat din sunsaan rehta hai Kaha : Is k ghar k
aangan mein hain kuch phoolo’n k poday bhi Jawab aaya k khaali phir bhi her guldaan rehta hai. Khuda ka shukr hai hum ik fiza mein saans laity hain Agar milty nahi, itna to itminaan rehta hai . !

Tum Ne Hi Majboor Kiya . .
Tum ne hi majboor kiya hai, Mujh ko raah badalny per Jeewan k be-ant safar mein, Ghair ka ho kar chalny per Meine tumhari aasha’on ka, Her her roop saraha tha Meine apna aap bhula kar, Tum ko toot k chaha
tha Umer ki ujli deewaro’n per, Qismat ka andheyaara tha Aur boht they suraj lekin, Tum sa charaagh hi piyara tha Lekin tum hi mery maseeha, Nafrat k saanchay mein dhal kar Ik Din mery saamney aa gaye,
Qaatil ka behroop badal kar Ab kia shikwa, Kesi Shikayat, Chahat k sab rishtay kachay Mein bhi aur tum bhi har-jaai, Mein bhi theek aur tum bhi sachay. . !

Awaaz Ka Rishta. . .
Bus yunhi rasmi rasmi sa Ik be-mafhoom ta’aruf tha Us ne mera number mang liya Phir ik din telifone kiya Phir fone kiya.. Phir fone kiya.. Ik roz thi barish zoro’n per Baadal garjay, Bijli chamki Phir boondai’n barsi
khirki per Tab uska telifone aya Be-saakhta meine us se kaha Barsaat mein tanhai ki saza Kyun deti ho?
Kyun karti ho tum fone mujhy? Kuch lamho’n tak wo chup si rahi Phir kehnay lagi: Jo aap ka dheema lehja
hai Mujhy be-hadd acha lagta hai Awaaz jo ap k honto’n se Tashna kaano’n tak aati hai MUJHY “USKI” YAAD DILATI HAI…!

Saturday, 30 March 2013
Ghar Kis K Liye Veeran Rehta Hai?
Kaha : Din ko bhi ye ghar kis k liye veeran rehta hai? Yahan kia hum sa koi be-sar-o-saamaan rehta hai? Dar-o-deewar sannaattay ki chaadar mein hain khuwab’eeda Bhala aisi jaga zinda koi insan rehta hai?
Musalsal poochnay per aik chilman se jawab aya: Yahan ik dil shikasta sahib-e-deewan rehta hai Kaha: Kia is k risht-e-daar bhi nahi milny aaty? Jawaab aya : Ye sehra raat din sunsaan rehta hai Kaha : Is k ghar k
aangan mein hain kuch phoolo’n k poday bhi Jawab aaya k khaali phir bhi her guldaan rehta hai. Khuda ka shukr hai hum ik fiza mein saans laity hain Agar milty nahi, itna to itminaan rehta hai . !
Musalsal poochnay per aik chilman se jawab aya: Yahan ik dil shikasta sahib-e-deewan rehta hai Kaha: Kia is k risht-e-daar bhi nahi milny aaty? Jawaab aya : Ye sehra raat din sunsaan rehta hai Kaha : Is k ghar k
aangan mein hain kuch phoolo’n k poday bhi Jawab aaya k khaali phir bhi her guldaan rehta hai. Khuda ka shukr hai hum ik fiza mein saans laity hain Agar milty nahi, itna to itminaan rehta hai . !
Phool Khilnay Ki Gharri. !
Pehlay aap batain mujh ko Aap ka chehra peela kyun hai? Aap k kapray mailay kyun hain? Wo neeli si shirt kahan hai? Aap ki leather belt kahan hai? Ainak k number kyun badlay? Kyun dhundli dhundli hain
aankhain? Kyun itna likhtay parhtay hain? Aap k in uljhay baalo’n ko Kon wahan suljhaata ho ga? Is wehshi,
is Maztar dil ko kon wahan behlata ho ga? Wo to dasht hai tanhai ka Chain wahan kab aata ho ga? Resham
jaisy kitny sawaalo’n k guchay hain Jo pardes se ghar aaty hi khul jaaty hain Sochta hun mein Maa’n, mehbooba aur bivi Ye teeno’n rishtay Aapas mein jab mil jatay hain Jaisay Door kahin sehra mein Taaza Phool Khil Jaatay Hain. . !

Wo Mery Paas Aa Kar Kharri Ho Gai . . !
Mery haalaat ki abtari dekh kar . . Us k abbu ne thukra diya tha mujhy . . Phir achanak wo ik anjuman mein mili . . Apni khamosh palkain jhukaye huay . . Wo mery pas aa kar kharri ho gai . . Chand lamho’n talak khanjar-e-khamoshi .. Dheeray dheeray kalaij’on mein chalta raha. . Waqt
hairan aankho’n ko malta raha. . Phir zara daair mein mozu-e-guftugu. . Apny hath aa gaya. . Yani
mosam, siyasat, ghum-e-zidagi. . Dair tak us se jee bhar k baatain hui’n. . Phir wo chaltay huay aik pal ko ruki . . Mujh se kehny lagi: Shayari se bhala kia mila aap ko? Sirf palko’n ka num? Sirf
yaado’n ka ghum? Aap ki shohratain, aap ko besh-o-kam . . Kuch na de gi kabhi shayari
mohtaram. . ! Mat bura maniye ga meri baat ka. . Ye taqaza hai mojooda haalaat ka. . Is liye jan-e
-man shayari chorr kar. . Fann k in raigzaaro’n se munh morr kar. . Ab Dubai aur Musqat ka rukh
kejiye. . Chand barso’n mein jab aap ki jaib mein. . Aath dus laakh ho’n. . Tab watan aaiye. . Aur abu se phir maang lejiye mujhy. !

Teray Liye. . . Meray Liye . . .
Dil hatheli per liye sab ne qataar’ain baandh lee’n Sab ne aankho’n ki sajai kehkasha’n tere liye Apni umeedo’n k taaray tery aagay rakh diye Kar diya sab ne zameen ko aasman tery liye Cactus jaisay hain ye
mery dar-o-deewar bhi Mera kamra hai dasht-e-be-ama’n mery liye Mein to sardi’on ki thitharti raat ka mehtaab hun Kon kholta hai ghar ki khirki’an mery liye?
mery dar-o-deewar bhi Mera kamra hai dasht-e-be-ama’n mery liye Mein to sardi’on ki thitharti raat ka mehtaab hun Kon kholta hai ghar ki khirki’an mery liye?
Teri Paayal Tery Khuwabo’n ki Sadaa. !
Teri paayal tery khuwabo’n ki sadaa. . Jaisy sehra mein saraabo’n ki sadaa. . Itna hasaas hun, sun leta hun. . Shaam k zard gulabo’n ki sadaa. . Jism sunta hai sakoot-e-shab mein. . Dil k pur-shor azabo’n ki sadaa.
. Ghaur se sun kisi almari mein. . Gard aaloodkitabo’n ki sadaa. . Raat aya tha chambeli ka paighaam. . Jaisay khoye huay khuwabo’n ki sadaa. !
. Ghaur se sun kisi almari mein. . Gard aaloodkitabo’n ki sadaa. . Raat aya tha chambeli ka paighaam. . Jaisay khoye huay khuwabo’n ki sadaa. !
Ghazal Shayari
Quwwat-e-fikr jis mein ghatt jaye Zehn tareek’ion mein butt jaye Dil ghubaar-e-alum mein att jaye Aadmi zindagi se katt jaye Aisi deewangi se kia haasil? Is ghum-e-aashiqi se kia haasil? Ishq aisa
to ho k jiski chamak Dil ki tareeek’ion ko door kary Fikr ko aabshaar-e-noor kary Sheesha-e-ghum ko choor choor kary Aisi deewangi se kia haasil? Is ghum-e-aashiqi se kia haasil?
to ho k jiski chamak Dil ki tareeek’ion ko door kary Fikr ko aabshaar-e-noor kary Sheesha-e-ghum ko choor choor kary Aisi deewangi se kia haasil? Is ghum-e-aashiqi se kia haasil?
Mohtaaj Humsafar Ki, Musaafat Na Thi Meri. . !
Mohtaaj humsafar ki, musafat na thi meri Sab sath thy magar, kisi se rafaqat na thi meri Haq kis se maaangta k makeeno’n k sath sath Deewar-o-baam-o-dar ko zarurat na thi meri Such bol k bhi dekh liya un k saamney Lekin unhein pasand sadaqat na thi meri Mein jin pe marr mita tha wo kaghaz k phool thy Rasmi mukaalmay thy, muhabbat na thi meri Jo dusro’n k dukh thy wohi mery dukh bhi thy Kuch aisay mukhtalif bhi hikayat na thi meri Bus kuch asool thy jo bahar-haal they aziz Janam! Kisi se warna adawat na thi meri. . ! …
Mat Us Khuwab K Peechay Bhago!
Mat us khuwab k peechay bhago! Pathar ban kar rah jao gi. . Taiz bohot hai wakt ka dariya. Tum bhi is mein bah jao gi. . Ye nashtar jaisi ruswai. . Bolo! Kaisay sah jao gi? Kia bacho’n jesi baato’n se Tum sab ko behla sakti ho? Kia tum apnay mann ki mantaq Duniya ki suljha sakti ho? Khuwabo’n jesi baatain kar k Kia
taabeer’ain paa sakti ho? Baap ki shafqat, maa’n ki mamta Kia such much thukra sakti ho? Jis ghar mein parwaan charhi tum Us ko chorr k aa sakti ho? Aisi batain na-mumkin hain Bus tum apni tanhai mein. . Hijr k geet hi gaa sakti ho!

Tujhy Kaisy Bhulata Mein? ? ?
Tujhay mein bhool tou jaata. . Magar teray ta’aluq se. . Jo chehray saamney aaye. . Jo rastay saamney aaye. . Jo lamhey saamne aaye. . Jo rishtey saamney aaye. . Unhein kaisay bhulata mein. . Tujhy kaisy bhulata mein. .?
Tark-e-Ta’alluq Kar Tou Chukay Hain. . !
Tark-e-ta’alluq kar tou chukay hain, aik imkaan abhi baaqi hai Aik mahaaz se loot aye hain, aik maidan abhi baaqi hai Shayad us ne hansi hansi mein, tark-e-wafa ka zikr kiya Yunhi si ik khush-fehmi hai, itmenaan abhi baaqi hai Raat’ain us k hijr mein ab bhi, naza’a kay aalam mein kat’ti hain Dil mein waisi hi wehshat hai, tann mein jaan abhi baaqi hai Bachpan k is ghar k saray kamray, maliya-mait huay hain Jis mein hum khaila karty thy, wo daalan abhi baaqi hai Diye mundair pe rakh aaty hain, hum har sham najanay kyun Shayad us k laut aany ka, kuch imkaan abhi baaqi hai Aik adalat aur hai jis mein, hum tum ik din hazir hongy Faisla sun kar khush mat hona, aik mezaan abhi baaqi hai. . ! …
Dhoop Gharri Ka Daur Bhi Kitna Acha Tha. .
Dhoop Gharri ka daur bhi kitna acha tha. . Wakt ka dariya pao’n k neechy behta tha. . Meine aankhain mond’een aur dum saadh liya Aik parinda kandhay per aa betha tha. . Sabit hain ab tak phoolo’n k do surkh nishan Khuwab mein kis ne mera maatha chooma tha. . Barhti umer k sath khulay israar us kay Kitna zaalim thaw o hijr jo pehla tha. . Jab apny itraaf mein bheer ka shor suna Tab mujh ko ehsaas hua mein tanha tha. . Hijr k us lamhay per ab tak naadim hun Tark-e-ta’alluq ki baabat jab socha tha. . Khaak urraatey phirtey hain ab khaak nashee’n Ik din kehkasha’n per pao’n na tikta tha. !
Kabhi Ghar Se Nikal Kar Tum Ne. .
Kabhi ghar se nikal kar tum ne Sarma ki thitharti chandni shab mein Akelay chand ko dekha? Kabhi sunsaan bagho’n mein Kisi tanha rawish per chalty chalty, chand se pucha K wo tum se ziada muztarib kyun hai? Magar tum! Band kamray k makee’n! Khuwabo’n k shehzaday! Nikal kar garm kamray se Kahan jao gay adhi raat ko sunsan bagho’n mein? Akelay chand se batain tou wo mazloom karty hain Jinhain ghar k deewar-o-dar bhi Dhatkaar daity hain Jinhain apni awaazo’n k khnjar Maar detay hain!
Kabhi Tu Ne Bhi Socha Hai K Ye Pyaas Hai To Kyun Hai?
Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai? Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai? Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai? Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai? Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai? Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai? Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai? Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’ Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ? …
Jaan-e-Aziz Saath Hain. . !
Yun to teri mohabbat’ain jaan-e-aziz sath hain Apni bhi kuch qabahat’ain jaan-e-aziz sath hain Sirf ye ik ghazal nahi, is mein hain kuch safaiyan Ishq ki kuch wazahat’ain, jaan-e-aziz sath hain Jism hi manzil, talab apny khayal ki nahi Aur bhi kuch zarurat’ain, jaan-e-aziz sath hain Apny liye to aik bhi, lamha jaan-e-fiza nahi Apni kahan rafaqat’ain jaan-e-aziz sath hain Aisay bandhay hua hain hum, sham-o-seher ki dor mein Apni tamam kulfat’ain, jaan-e-aziz sath hain Tum bhi ho is se ba-khabar, hum hain kahan k mo’tabar Apni tamam qeemat’ain, jaan-e-aziz sath hain Dil tou behel hi jaye ga, tanha safar mein hum nahi Guzri hui kaee rut’ain, jaan-e-aziz sath hain. . . !
Akela Kamra. . !
Dharkan dharkan yaado’n ki baraat akela kamra. . Mein aur mery zakhmi ehsasaat akela kamra. . Gaye dino’n ki tasweer’on k bujhtay huay naqoosh. . Taaza, tark-e-ta’alluq k sadmaat akela kamra. . Dosh-e-hawa per urrney walay khiza’n k aakhri pattay. . Apni akeli jan, gam-e-halaat akela kamra. . Akhri shab k chand se karna, balcony mein baatain. . Us k sheher mein hotel ki ye raat, akela kamra. . Meri sisakti awazo’n se goonjti hain deewar’ain. . Sunta hai din raat, mery naghmaat akela kamra. . Sab samaan ba’hum hain ‘Sajid’ likhny likhanay kay. . Khoon-e-jigr aur aansu, dil ki dawaat, akela kamra . . ! …
Dil Hai Yun Muztarib Makano’n Mein. .
Dil hai yun muztarib makano’n mein Machliya’n jaisy martabano’n mein Dhoop se dhoondtay hain raah-e-faraar Log sheeshay k saibano’n mein. . Teri aamad pe jaisy laut aya Wakt guzray huay zamano’n mein. . Dil dharakta hai har sitaray ka Aaj ki raat aasmano’n mein. . Zang aalood ho gaye jazbay Jam gaye harf, sard-khano’n mein. . Reshami log dhoondtay hain hum Sheher k aahni makano’n mein. . ! …
Ajab Din Raat They Meray. . !
Ajab halaat thy meray, Ajab din raat thy meray. . Magar mein mutma’inn tha is liye, tum sath thy meray. . Meray zar k talab’gaaro’n ki nazrain aisay uthti thee’n. . K laakho’n ungliyan thee’n aur hazaro’n hath thy meray. . Mein ik pathar ka gard aalood but tha in mandiro’n mein. . Na dil tha mery seenay mein, Na kuch jazbaat thy meray. . Kisi se aur kia ta’eed ki umeed mein rakhta? Wohi khamosh thy jo mehram-e-halaat thy meray. . Mein jin sho’lon mein jalta tha usey tum bhi nahi samjhay. . Mera dil mukhtalif tha, Mukhtalif sadmaat thy meray. . Mujhy mujrim bana kar rakh diya jhootay gawaho’n ne. . Sabhi radd ho gaye jitney bhi ilzamaat thy meray. . Tasawwur ban gaya tasweer, aakhir aik din ‘Sajid’ Isi ka khauf tha mujh ko, yehi khadshaat thy meray. . ! …
Koi Sham Aisi Bhi Sham Ho. . !
Koi sham aisi bhi sham ho, k ho sirf meray hi naam se. . Meray sama’een hon shugufta dil, meray dil-gudaaz kalaam se. . Meri guftugu k gulaab se ho dilo’n mein aisi shuguftagi. . Koi aisi nik’hat-e-khaas ho k mehek uthey dar-o-baam se. . Koi rung in mein kia bharu’n? Inhein yaad rakh k bhi kia karun? Ye jo bheerh bhaarh mein sheher ki, Mujhy log miltay hain aam se. . Meri raat meri habeeb hai, ye barri ajeeb-o-ghareeb hai. . Mery sath chorr diya karo, mery fann se meray kalaam se. . Meri aarzu hai k moum hon kabhi un k dil bhi mery liye. . Jinhain bair hai meri zaat se, Jo hain bad-gumaa’n mery naam se. ! …
Bujha K Rakh Diya Humain. . . !
Kisi ne dil k taaq per jala k rakh diya humain Magar, hawa-e-hijr ne, bujha k rakh diya humain Hazaar hum ne zabt se liya tha kaam, kia karain Kisi k aansuo’n ne phir rula k rakh diya humain Hamari shohratai’n kharab is tarha bhi us ne kee’n K apny aashano’n se mila k rakh diya humain Hum is anjuman mein jany us ne kyun bula liya Bula liya aur ik taraf bitha k rakh diya humain Faqat hum aik daikhny ki cheiz ban k rah gaye Kisi ne aisa ishq mein bana k rakh diya humain Hum ‘Aitbar’ us ki har shikast mein shareek thy Magar bisaat se alag utha kar rakh diya humain. . !
Shart-e-Mulaqaat. . !
Khuda janay tumharay zehn mein kia hai? Meray baray mein tum kia sochti ho, kah nahi’n sakta. . Magar mein is liye milney se katraata hoon tum se. . K wo baatain jo hum likhtay hain apny khat mein chahat se. . Wo baatain aur baatain hain. . Wo baatain aisi baatain hain k bus baatain hi baatain hain. . Haqeeqat mukhtalif hai aisi baato’n se. . Haqeeqat kia hai? Iss adraak tak tum kaisy pohncho gi? Haqeeqat munkashif hoti nahi’n alfaaz likhney se. . Zubani guftugu se, bahami izhaar-o-arz-e-haal karny se. . Boht si aisi baatain hain. . Jinhain sunnay ko kaano’n ki nahi’n aankho’n ki haajat hai. . Agar tum mujh sy milney per both israar karti ho. . To phir ik shart hai. . Ik lafz bhi na kehna, na honto’n se. . Faqat aankho’n se aankhain guftugu karti rahaingi. . Khalaa apny sawalo’n ka. . In aankho’n ki sadaain khud ba-khud bharti rahaingi. . Agar milna zaruri hai. . Tou choti se meri ye shart apny zehn mein rakhna. . !
Wo Haal Hi Nahi’n Raha. . !
Wo pehli jaisi wehshatain, wo haal hi nahi raha. . K ab tou shoq-e-rahat-e-wisaal hi nahi raha. . Tamam hasrat’ain, har ik sawaal dafan kar chukay. . Hamary paas ab koi sawaal hi nahi raha. . Talash-e-rizq mein ye sham iss tarha guzar gaee. . Koi hai apna muntazir, Khayaal hi nahi raha. . In aatay jaatay roz-o-shab ki gardisho’n ko dekh kar. . Kisi kay hijr ka koi malaal hi nahi raha. . Hamara kia banay ga kuch na kuch tou iss pe sochtay. . Magar kabhi humain ghum-e-maal hi nahi raha. . Tumharay khaal-o-khad pe ik kitaab likh rahy thy hum. . Magar tumhara husn be-misaal hi nahi raha. . Sanwaarta, Nikhaarta mein kaisay apny aap ko. . Tumharay baad apna kuch khayaal hi nahi raha. . Zara si baat se dilo’n mein itna farq aa gaya. . Ta’alluqaat ka tou phir sawaal hi nahi raha. .! …
Mujh Se Mukhlis Tha Na Waakif Mery Jazbaat Se Tha. .
Mujh se mukhlis tha na waakif mery jazbaat se tha. . Us ka rishta to faqat apny mafadaat se tha. . Ab jo bichra hai to kia ro’en judai pe teri. . Ye andesha tou humain pehli mulaqaat se tha. . Dil k bujhney ka hawao’n se gila kia karna? Ye diya naza’a k aalam mein to kal raat se tha. . Mein kharaabo’n ka makeen aur ta’alluq mera. . Tery naatay kabhi khuwabo’n k mehal’aat se tha. . Lab-kushaai pe khula us k sukhan ka iflaas. . Kitna aarasta wo atlas-o-banaat se tha. . . !
Ye Barso’n Ka Ta’alluq Torr Dena Chahtay Hain Hum. .
Ye Barso’n ka ta’alluq torr dena chahtay hain hum. . Ab apny aap ko bhi chorr dena chahtay hain hum. . Kisi dehleez per aankho’n k ye roshan diye rakh kar. . Zameer-e-subha ko jinjhorr dena chahtay hain hum. . Jidhar hum ja rahy hain us taraf toota hua pul hai. . Ye baag’ain is se pehlay morr dena chahtay hain hum. . Ye naubat kal jo aani hai to sharminda nahi’n hongay. . Marasam ehtiyaat’ann torr dena chahtay hain hum. . Ajeeb deewangi hai jis k hum saaye mein baithay hain. . Issi deewar se sir phorr dena chahtay hain hum. . Ta’alluq kirchiyo’n ki shakal mein bikhra to hai phir bhi. . Shikasta aaino’n ko jorr dena chahtay hain hum. . . !
Khud Ko Kho Raha Hoon!
Mein takiye per sitaray bo raha hoon. . Janam din hai, Akela ro raha hoon. . Kisi ne jhank kar dekha na dil mein. . K mein ander se kaisa ho raha hoon. . Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay. . Unhein ab aansuo’n se dho raha hoon. . Sabhi parchaai’an hain saath lekin. . Bhari mehfil mein tanha ho raha hoon. . Mujhy in nisbato’n se kon samjha? Mein rishtay mein kisi ka jo raha hoon. . Mein chonk uthta hoon aksar baithay baithay. . K jaisay jagtay mein so raha hoon. . Kisay paanay ki khuwahish hai k ‘Sajid’ Mein rafta rafta khud ko kho raha hoon. . !
Utri Hai You’n Judai’on,Tanhai’on Mein Shaam. . !
Utri hai you’n judaiyo’n, tanhaiyo’n mein sham Jaisy ujaar sheher ki angnaiyo’n mein sham. . Rangeen qamqamo’n ka sahara liye huay Sehmi hui hai sheher ki ra’naai’on mein shaam Kamro’n mein band, hijr k gosha nasheen tery Kab dhoondtay hain apni pazeerai’on mein sham Hum sokhta dilo’n ki tumhain kia khabar k hum Kaisay guzar laity hain tanhai’on mein sham Ae akhri kiran! Mujhy ghar tak tou chorr de Ab dhal rahi hai doobti parchaai’on mein shaam Na-aashna hujoom mein khoye huay they hum Guzri hai aaj aisi shanasaai’on mein sham. . !
Kuch Wo Bhi Dukhi Dil Liye Aaya Tha Mery Paas. .
Ab tak na samajh paaye mera shor-e-fugha’n bhi Tum log tou parh laity ho aankho’n ki zuba’n bhi Khat is liye shayad mujhy ab tum nahi’n likhtey Kaghaz pe uter aatey hain saanso’n k nisha’n bhi Seenay ki ghutan mein kabhi rukti nahi aah’ain Kamray se nikalney ko machalta hai dhua’n bhi Shohrat se faqat is liye aata hai mujhy khauf Mash’hoor na ho jaye mera zakhm-e-neha’n bhi Is dard k rishtey mein tou yaksaa’n hain shab-o-roz Jo haal tumhara hai wo aalam hai yahan bhi Kuch wo bhi dukhi dil liye aaya tha mery paas Kuch dard bhara tha mera andaz-e-bayaa’n bhi. . !
Wednesday, 6 March 2013
Directly In To Heart
D smallst gestures dat go right 2 D HRT …
A smile 4Rm a strangr whn u r lost in a crowd ..
An old 4Rnd callin 4Rm a distant land just 2 say’i miss u’ ..
D touch of mother’s hand on ur 4head when u r unable 2 sleep..
A hand on ur shouldr when it feels like the world’s against u ..
An unexpectd but badly needed hug 4rm D 1 u love D most ..
I pray ‘u get all these when u need them a loTTTTT’…

Tuesday, 5 March 2013
Monday, 4 March 2013
Dentisy Naughty Joke
Labels:
Adult Sms,
Angry Sms,
Break Up Sms,
Cool Sms,
Dirty Sms,
Diwali Sms,
Faraz sms,
Funny sms,
Husband Wife Sms,
Joke Sms,
Kiss You Sms,
Love Sms,
Marriage Sms,
Miss You SMS,
Pathan sms,
Wife Sms
Pathan And Condom
Labels:
Adult Sms,
Angry Sms,
Break Up Sms,
Cool Sms,
Dirty Sms,
Diwali Sms,
Faraz sms,
Funny sms,
Husband Wife Sms,
Joke Sms,
Kiss You Sms,
Love Sms,
Marriage Sms,
Miss You SMS,
Pathan sms,
Wife Sms
Brazier And Underwear
Labels:
Adult Sms,
Angry Sms,
Break Up Sms,
Cool Sms,
Dirty Sms,
Diwali Sms,
Faraz sms,
Funny sms,
Husband Wife Sms,
Joke Sms,
Kiss You Sms,
Love Sms,
Marriage Sms,
Miss You SMS,
Pathan sms,
Wife Sms
Can I Kiss You
Labels:
Adult Sms,
Angry Sms,
Break Up Sms,
Cool Sms,
Dirty Sms,
Diwali Sms,
Faraz sms,
Funny sms,
Husband Wife Sms,
Joke Sms,
Kiss You Sms,
Love Sms,
Marriage Sms,
Miss You SMS,
Pathan sms,
Wife Sms
After 5 Months
Labels:
Adult Sms,
Angry Sms,
Break Up Sms,
Cool Sms,
Dirty Sms,
Diwali Sms,
Faraz sms,
Funny sms,
Husband Wife Sms,
Joke Sms,
Kiss You Sms,
Love Sms,
Marriage Sms,
Miss You SMS,
Pathan sms,
Wife Sms
Subscribe to:
Posts (Atom)