Saturday, 30 March 2013
Tark-e-Ta’alluq Kar Tou Chukay Hain. . !
Tark-e-ta’alluq kar tou chukay hain, aik imkaan abhi baaqi hai Aik mahaaz se loot aye hain, aik maidan abhi baaqi hai Shayad us ne hansi hansi mein, tark-e-wafa ka zikr kiya Yunhi si ik khush-fehmi hai, itmenaan abhi baaqi hai Raat’ain us k hijr mein ab bhi, naza’a kay aalam mein kat’ti hain Dil mein waisi hi wehshat hai, tann mein jaan abhi baaqi hai Bachpan k is ghar k saray kamray, maliya-mait huay hain Jis mein hum khaila karty thy, wo daalan abhi baaqi hai Diye mundair pe rakh aaty hain, hum har sham najanay kyun Shayad us k laut aany ka, kuch imkaan abhi baaqi hai Aik adalat aur hai jis mein, hum tum ik din hazir hongy Faisla sun kar khush mat hona, aik mezaan abhi baaqi hai. . ! …
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment