Saturday, 30 March 2013

Shart-e-Mulaqaat. . !

Khuda janay tumharay zehn mein kia hai? Meray baray mein tum kia sochti ho, kah nahi’n sakta. . Magar mein is liye milney se katraata hoon tum se. . K wo baatain jo hum likhtay hain apny khat mein chahat se. . Wo baatain aur baatain hain. . Wo baatain aisi baatain hain k bus baatain hi baatain hain. . Haqeeqat mukhtalif hai aisi baato’n se. . Haqeeqat kia hai? Iss adraak tak tum kaisy pohncho gi? Haqeeqat munkashif hoti nahi’n alfaaz likhney se. . Zubani guftugu se, bahami izhaar-o-arz-e-haal karny se. . Boht si aisi baatain hain. . Jinhain sunnay ko kaano’n ki nahi’n aankho’n ki haajat hai. . Agar tum mujh sy milney per both israar karti ho. . To phir ik shart hai. . Ik lafz bhi na kehna, na honto’n se. . Faqat aankho’n se aankhain guftugu karti rahaingi. . Khalaa apny sawalo’n ka. . In aankho’n ki sadaain khud ba-khud bharti rahaingi. . Agar milna zaruri hai. . Tou choti se meri ye shart apny zehn mein rakhna. . !

No comments:

Post a Comment