Saturday, 30 March 2013
Dhoop Gharri Ka Daur Bhi Kitna Acha Tha. .
Dhoop Gharri ka daur bhi kitna acha tha. . Wakt ka dariya pao’n k neechy behta tha. . Meine aankhain mond’een aur dum saadh liya Aik parinda kandhay per aa betha tha. . Sabit hain ab tak phoolo’n k do surkh nishan Khuwab mein kis ne mera maatha chooma tha. . Barhti umer k sath khulay israar us kay Kitna zaalim thaw o hijr jo pehla tha. . Jab apny itraaf mein bheer ka shor suna Tab mujh ko ehsaas hua mein tanha tha. . Hijr k us lamhay per ab tak naadim hun Tark-e-ta’alluq ki baabat jab socha tha. . Khaak urraatey phirtey hain ab khaak nashee’n Ik din kehkasha’n per pao’n na tikta tha. !
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment