Saturday 30 March 2013

Kuch Wo Bhi Dukhi Dil Liye Aaya Tha Mery Paas. .

Ab tak na samajh paaye mera shor-e-fugha’n bhi Tum log tou parh laity ho aankho’n ki zuba’n bhi Khat is liye shayad mujhy ab tum nahi’n likhtey Kaghaz pe uter aatey hain saanso’n k nisha’n bhi Seenay ki ghutan mein kabhi rukti nahi aah’ain Kamray se nikalney ko machalta hai dhua’n bhi Shohrat se faqat is liye aata hai mujhy khauf Mash’hoor na ho jaye mera zakhm-e-neha’n bhi Is dard k rishtey mein tou yaksaa’n hain shab-o-roz Jo haal tumhara hai wo aalam hai yahan bhi Kuch wo bhi dukhi dil liye aaya tha mery paas Kuch dard bhara tha mera andaz-e-bayaa’n bhi. . !

No comments:

Post a Comment