Saturday 30 March 2013

Bujha K Rakh Diya Humain. . . !

Kisi ne dil k taaq per jala k rakh diya humain Magar, hawa-e-hijr ne, bujha k rakh diya humain Hazaar hum ne zabt se liya tha kaam, kia karain Kisi k aansuo’n ne phir rula k rakh diya humain Hamari shohratai’n kharab is tarha bhi us ne kee’n K apny aashano’n se mila k rakh diya humain Hum is anjuman mein jany us ne kyun bula liya Bula liya aur ik taraf bitha k rakh diya humain Faqat hum aik daikhny ki cheiz ban k rah gaye Kisi ne aisa ishq mein bana k rakh diya humain Hum ‘Aitbar’ us ki har shikast mein shareek thy Magar bisaat se alag utha kar rakh diya humain. . !

No comments:

Post a Comment