Saturday 30 March 2013

Jaan-e-Aziz Saath Hain. . !

Yun to teri mohabbat’ain jaan-e-aziz sath hain Apni bhi kuch qabahat’ain jaan-e-aziz sath hain Sirf ye ik ghazal nahi, is mein hain kuch safaiyan Ishq ki kuch wazahat’ain, jaan-e-aziz sath hain Jism hi manzil, talab apny khayal ki nahi Aur bhi kuch zarurat’ain, jaan-e-aziz sath hain Apny liye to aik bhi, lamha jaan-e-fiza nahi Apni kahan rafaqat’ain jaan-e-aziz sath hain Aisay bandhay hua hain hum, sham-o-seher ki dor mein Apni tamam kulfat’ain, jaan-e-aziz sath hain Tum bhi ho is se ba-khabar, hum hain kahan k mo’tabar Apni tamam qeemat’ain, jaan-e-aziz sath hain Dil tou behel hi jaye ga, tanha safar mein hum nahi Guzri hui kaee rut’ain, jaan-e-aziz sath hain. . . !

No comments:

Post a Comment