Saturday 30 March 2013

Mujh Se Mukhlis Tha Na Waakif Mery Jazbaat Se Tha. .

Mujh se mukhlis tha na waakif mery jazbaat se tha. . Us ka rishta to faqat apny mafadaat se tha. . Ab jo bichra hai to kia ro’en judai pe teri. . Ye andesha tou humain pehli mulaqaat se tha. . Dil k bujhney ka hawao’n se gila kia karna? Ye diya naza’a k aalam mein to kal raat se tha. . Mein kharaabo’n ka makeen aur ta’alluq mera. . Tery naatay kabhi khuwabo’n k mehal’aat se tha. . Lab-kushaai pe khula us k sukhan ka iflaas. . Kitna aarasta wo atlas-o-banaat se tha. . . !

No comments:

Post a Comment