Sunday, 31 March 2013

Udaas raatain naraz pal hain

Udaas raatain naraz pal hain
Jo aaj thay huay wo kal hain

Qata-o-Taluq o sard-e-mahrii
Mas’loun kay uskay ya hal hain

Samaye thay jo ragoon main meri
Nazar say meri wo aaj ojhal hain

Musafatoon na thaka dia hai
Nazar hai dhundhli pao’n shal hain

Wo asal wo saraab sa tha
Jo firqatain hain wohi asal hain

Mera ta’aaruf hain qaiso majnoon
Hum aashiqoon ki koi nasal hain

Nuwazishain thi inayatain thi
Par aaj kia hai ya kia badal hain

Bahar ab kay kah hai layee
Kay zard saaray huay nahal hain

Yahee raha bas faraib hum ko
Humi abd hain hami azal hain

No comments:

Post a Comment