Saturday, 30 March 2013

Akela Kamra. . !

Dharkan dharkan yaado’n ki baraat akela kamra. . Mein aur mery zakhmi ehsasaat akela kamra. . Gaye dino’n ki tasweer’on k bujhtay huay naqoosh. . Taaza, tark-e-ta’alluq k sadmaat akela kamra. . Dosh-e-hawa per urrney walay khiza’n k aakhri pattay. . Apni akeli jan, gam-e-halaat akela kamra. . Akhri shab k chand se karna, balcony mein baatain. . Us k sheher mein hotel ki ye raat, akela kamra. . Meri sisakti awazo’n se goonjti hain deewar’ain. . Sunta hai din raat, mery naghmaat akela kamra. . Sab samaan ba’hum hain ‘Sajid’ likhny likhanay kay. . Khoon-e-jigr aur aansu, dil ki dawaat, akela kamra . . ! …

No comments:

Post a Comment