Sunday, 31 March 2013

Maa’n! Kahan Ho Tum?

Mery chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum?
Mery maathay pe bosa deni wali maa’n! kahan ho tum?

Mujhy jhalsa rahi hai zindagi ki dhoop barso’n se
Meri umeed, meri zeest ka saaman kahan ho tum?

Kharaash’ain daal di hain dil k aainey pe duniya ne
Mery har dukh, mery har dard ka dar-maa’n kahan ho tum?

Mein thak k girney wala hun, mujhy aaghosh mein lay lo!
Ta’aqub mein hai mery gardish-e-dauraa’n, kahan ho tum?

Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maee’n zinda hain
Meri nazro’n mein saara sheher hai weeran kahan ho tum

Kahan ho tum? ye dekho mera seena kitna ghayal hai!
Mery zakhm’on ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum?

No comments:

Post a Comment