Sunday 31 March 2013

Paikar tha wafa ka Muhabat ka Khuda ka !

Paikar tha wafa ka Muhabat ka Khuda ka !
Wo shahks zamany sa sab sa hi juda tha

Chaahat kay hazanay thay har lafz main us kay
Daaman mera us na duaoon sa bhara tha

Mujh ko naheen dekha us na karhee dhoop sa choo kar
Baba mera duniya main mujhe aisa jo mila tha

Fikrain na zamanay ki kabhi pass bhi aeen !
har dard meri hasti sa darta hi raha tha

Jab tak saansoon ka basaira mera baba
Tab tak main ghamoon sa bachta hi raha

Us shaam ki hudat meray dil sa naheen jaati
Jis shaam tera saya meray saye sa utha tha

No comments:

Post a Comment