Saturday, 30 March 2013

Wo Mery Paas Aa Kar Kharri Ho Gai . . !

Mery haalaat ki abtari dekh kar . . Us k abbu ne thukra diya tha mujhy . . Phir achanak wo ik anjuman mein mili . . Apni khamosh palkain jhukaye huay . . Wo mery pas aa kar kharri ho gai . . Chand lamho’n talak khanjar-e-khamoshi .. Dheeray dheeray kalaij’on mein chalta raha. . Waqt 


hairan aankho’n ko malta raha. . Phir zara daair mein mozu-e-guftugu. . Apny hath aa gaya. . Yani 
mosam, siyasat, ghum-e-zidagi. . Dair tak us se jee bhar k baatain hui’n. . Phir wo chaltay huay aik pal ko ruki . . Mujh se kehny lagi: Shayari se bhala kia mila aap ko? Sirf palko’n ka num? Sirf 


yaado’n ka ghum? Aap ki shohratain, aap ko besh-o-kam . . Kuch na de gi kabhi shayari 
mohtaram. . ! Mat bura maniye ga meri baat ka. . Ye taqaza hai mojooda haalaat ka. . Is liye jan-e


-man shayari chorr kar. . Fann k in raigzaaro’n se munh morr kar. . Ab Dubai aur Musqat ka rukh 
kejiye. . Chand barso’n mein jab aap ki jaib mein. . Aath dus laakh ho’n. . Tab watan aaiye. . Aur abu se phir maang lejiye mujhy. !

No comments:

Post a Comment