Kabhi ghar se nikal kar tum ne Sarma ki thitharti chandni shab mein Akelay chand ko dekha? Kabhi sunsaan bagho’n mein Kisi tanha rawish per chalty chalty, chand se pucha K wo tum se ziada muztarib kyun hai? Magar tum! Band kamray k makee’n! Khuwabo’n k shehzaday! Nikal kar garm kamray se Kahan jao gay adhi raat ko sunsan bagho’n mein? Akelay chand se batain tou wo mazloom karty hain Jinhain ghar k deewar-o-dar bhi Dhatkaar daity hain Jinhain apni awaazo’n k khnjar Maar detay hain!
No comments:
Post a Comment