Kaha : Din ko bhi ye ghar kis k liye veeran rehta hai? Yahan kia hum sa koi be-sar-o-saamaan rehta hai? Dar-o-deewar sannaattay ki chaadar mein hain khuwab’eeda Bhala aisi jaga zinda koi insan rehta hai?
Musalsal poochnay per aik chilman se jawab aya: Yahan ik dil shikasta sahib-e-deewan rehta hai Kaha: Kia is k risht-e-daar bhi nahi milny aaty? Jawaab aya : Ye sehra raat din sunsaan rehta hai Kaha : Is k ghar k
aangan mein hain kuch phoolo’n k poday bhi Jawab aaya k khaali phir bhi her guldaan rehta hai. Khuda ka shukr hai hum ik fiza mein saans laity hain Agar milty nahi, itna to itminaan rehta hai . !
No comments:
Post a Comment