Saturday 30 March 2013

Phool Khilnay Ki Gharri. !

Pehlay aap batain mujh ko Aap ka chehra peela kyun hai? Aap k kapray mailay kyun hain? Wo neeli si shirt kahan hai? Aap ki leather belt kahan hai? Ainak k number kyun badlay? Kyun dhundli dhundli hain 


aankhain? Kyun itna likhtay parhtay hain? Aap k in uljhay baalo’n ko Kon wahan suljhaata ho ga? Is wehshi, 
is Maztar dil ko kon wahan behlata ho ga? Wo to dasht hai tanhai ka Chain wahan kab aata ho ga? Resham



 jaisy kitny sawaalo’n k guchay hain Jo pardes se ghar aaty hi khul jaaty hain Sochta hun mein Maa’n, mehbooba aur bivi Ye teeno’n rishtay Aapas mein jab mil jatay hain Jaisay Door kahin sehra mein Taaza Phool Khil Jaatay Hain. . !

No comments:

Post a Comment