Saturday 30 March 2013

Teri Paayal Tery Khuwabo’n ki Sadaa. !

Teri paayal tery khuwabo’n ki sadaa. . Jaisy sehra mein saraabo’n ki sadaa. . Itna hasaas hun, sun leta hun. . Shaam k zard gulabo’n ki sadaa. . Jism sunta hai sakoot-e-shab mein. . Dil k pur-shor azabo’n ki sadaa. 


. Ghaur se sun kisi almari mein. . Gard aaloodkitabo’n ki sadaa. . Raat aya tha chambeli ka paighaam. . Jaisay khoye huay khuwabo’n ki sadaa. !

No comments:

Post a Comment