Saturday 30 March 2013

Wo Haal Hi Nahi’n Raha. . !

Wo pehli jaisi wehshatain, wo haal hi nahi raha. . K ab tou shoq-e-rahat-e-wisaal hi nahi raha. . Tamam hasrat’ain, har ik sawaal dafan kar chukay. . Hamary paas ab koi sawaal hi nahi raha. . Talash-e-rizq mein ye sham iss tarha guzar gaee. . Koi hai apna muntazir, Khayaal hi nahi raha. . In aatay jaatay roz-o-shab ki gardisho’n ko dekh kar. . Kisi kay hijr ka koi malaal hi nahi raha. . Hamara kia banay ga kuch na kuch tou iss pe sochtay. . Magar kabhi humain ghum-e-maal hi nahi raha. . Tumharay khaal-o-khad pe ik kitaab likh rahy thy hum. . Magar tumhara husn be-misaal hi nahi raha. . Sanwaarta, Nikhaarta mein kaisay apny aap ko. . Tumharay baad apna kuch khayaal hi nahi raha. . Zara si baat se dilo’n mein itna farq aa gaya. . Ta’alluqaat ka tou phir sawaal hi nahi raha. .! …

No comments:

Post a Comment